اردو हिंदी
ThoDi sardi zara sa nazla hai | Shaahi Shayari
thoDi sardi zara sa nazla hai

Ghazal

ThoDi sardi zara sa nazla hai

Mohammad Alvi

;

thoDi sardi zara sa nazla hai
shaeri ka mizaj patla hai

sunne walon ka kuchh qusur nahin
naya shaer bechaara hakla hai

dekhiye to sabhi barabar hai
sochiye to ajib ghapla hai

pyar karte bhi hain nahin bhi hain
dil isi baat par to machla hai

ab yahan koi bhi nahin aata
doston ne Thikana badla hai

aao 'alwi' maze kara laen
yar is shahr mein bhi chakla hai