اردو हिंदी
Thikana hai kahin jaen kahan na-chaar baiThe hain | Shaahi Shayari
Thikana hai kahin jaen kahan na-chaar baiThe hain

Ghazal

Thikana hai kahin jaen kahan na-chaar baiThe hain

Imdad Imam Asar

;

Thikana hai kahin jaen kahan na-chaar baiThe hain
ijazat jab nahin dar ki pas-e-diwar baiThe hain

ye matlab hai ki mahfil mein manae aur man jaen
wo mere chheDne ko ghair se bezar baiThe hain

KHaridar aa rahe hain har taraf se naqd-e-jaan le kar
wo yusuf ban ke bikne ko sar-e-bazar baiThe hain

achanak le na lun bosa ye khaTka un ke dil mein hai
mere pahlu mein baiThe hain magar hoshyar baiThe hain

tumhaare aashiqon mein be-qarari kya hi phaili hai
jidhar dekho jigar thame hue do-chaar baiThe hain

qayamat hai sitam murde pe bhi un ko gawara hai
mera lasha uThane ke liye aghyar baiThe hain

lab-e-baam aa ke dikhla wo tamasha tur ka tum bhi
baDe mauqe se dar par talib-e-didar baiThe hain

'asar' kyun-kar na jaanun us ke dar ko qibla-e-alam
usi jaanib kai ruKH kafir o din-dar baiThe hain