اردو हिंदी
Tarab-zaron pe kya biti sanam-KHanon pe kya guzri | Shaahi Shayari
tarab-zaron pe kya biti sanam-KHanon pe kya guzri

Ghazal

Tarab-zaron pe kya biti sanam-KHanon pe kya guzri

Sahir Ludhianvi

;

tarab-zaron pe kya biti sanam-KHanon pe kya guzri
dil-e-zinda tere marhum armanon pe kya guzri

zamin ne KHun ugla aasman ne aag barsai
jab insanon ke dil badle to insanon pe kya guzri

hamein ye fikr un ki anjuman kis haal mein hogi
unhen ye gham ki un se chhuT ke diwanon pe kya guzri

mera ilhad to KHair ek lanat tha so hai ab tak
magar is aalam-e-wahshat mein imanon pe kya guzri

ye manzar kaun sa manzar hai pahchana nahin jata
siyah-KHanon se kuchh puchho shabistanon pe kya guzri

chalo wo kufr ke ghar se salamat aa gae lekin
KHuda ki mumlikat mein soKHta-jaanon pe kya guzri