اردو हिंदी
Sukun-e-qalb o shakeb-e-nazar ki baat karo | Shaahi Shayari
sukun-e-qalb o shakeb-e-nazar ki baat karo

Ghazal

Sukun-e-qalb o shakeb-e-nazar ki baat karo

Sufi Tabassum

;

sukun-e-qalb o shakeb-e-nazar ki baat karo
guzar gai hai shab-e-gham sahar ki baat karo

dilon ka zikr hi kya hai milen milen na milen
nazar milao nazar se nazar ki baat karo

shagufta ho na sakegi faza-e-arz-o-sama
kisi ki jalwa-gah-e-baam-o-dar ki baat karo

harim-e-naz ki KHalwat mein dastaras hai kise
nazara-ha-e-sar-e-rah-guzar ki baat karo

badal na jae kahin iltifat-e-husn ka rang
halawat-e-nigah-e-muKHtasar ki baat karo

jahan-e-hosh-o-KHirad ke muamle hain daraaz
kisi ke gesu-e-ashufta-sar ki baat karo

nigah-e-naz hai ek kaenat-e-raaz-o-niyaz
jidhar kare wo ishaara udhar ki baat karo

surur-e-zist hua jis ke dam-qadam se nasib
usi nadim usi ham-safar ki baat karo

wo jis se talKHi-e-zahrab-e-gham gawara hai
usi 'tabassum'-e-shirin-asar ki baat karo