اردو हिंदी
Shaghl behtar hai ishq-bazi ka | Shaahi Shayari
shaghl behtar hai ishq-bazi ka

Ghazal

Shaghl behtar hai ishq-bazi ka

Wali Mohammad Wali

;

shaghl behtar hai ishq-bazi ka
kya haqiqi o kya majazi ka

har zaban par hai misl-e-shana mudam
zikr tujh zulf ki daraazi ka

aaj teri bhawan ne masjid mein
hosh khoya hai har namazi ka

gar nain raaz-e-ishq sun aagah
faKHr beja hai faKHr-e-raazi ka

ai 'wali' sarw-qad ko dekhunga
waqt aaya hai sarfaraazi ka