اردو हिंदी
Shab-e-gham yaad unki aa rahi hai | Shaahi Shayari
shab-e-gham yaad unki aa rahi hai

Ghazal

Shab-e-gham yaad unki aa rahi hai

Zaheer Kashmiri

;

shab-e-gham yaad un ki aa rahi hai
charagh-e-dil ki lau tharra rahi hai

bayan-e-dost naseh ki zaban se
tabiat aur machli ja rahi hai

kahan naqsh-e-kaf-e-pa DhunDte ho
sada-e-pa to dil se aa rahi hai

baDe dil-kash hain duniya ke KHam o pech
nazar mein zulf si lahra rahi hai

hui muddat ki dil aatish-zada tha
fughan se aaj tak aanch aa rahi hai

shab-e-wada KHayalon ke ufuq par
gurezan si ziya tharra rahi hai

mohabbat ko kahan tab-e-nazara
jawani aap hi sharma rahi hai

sukut-e-sham ki pahnaiyon se
sada us ajnabi ki aa rahi hai