اردو हिंदी
Saza ka haal sunaen jaza ki baat karen | Shaahi Shayari
saza ka haal sunaen jaza ki baat karen

Ghazal

Saza ka haal sunaen jaza ki baat karen

Sahir Ludhianvi

;

saza ka haal sunaen jaza ki baat karen
KHuda mila ho jinhen wo KHuda ki baat karen

unhen pata bhi chale aur wo KHafa bhi na hon
is ehtiyat se kya muddaa ki baat karen

hamare ahd ki tahzib mein qaba hi nahin
agar qaba ho to band-e-qaba ki baat karen

har ek daur ka mazhab naya KHuda laya
karen to hum bhi magar kis KHuda ki baat karen

wafa-shiar kai hain koi hasin bhi to ho
chalo phir aaj usi bewafa ki baat karen