safar ki ibtida hui ki tera dhyan aa gaya
meri zamin ke samne ek aasaman aa gaya
ye faisla hua meri shanaKHt aaina kare
magar ye kis ka aks hai jo darmiyan aa gaya
ajib uljhanon mein ab ke saaten guzar gain
nisab yaad bhi nahin aur imtihan aa gaya
hisar-e-sail-e-ab se to naw bach gai magar
hawa ke hath sahilon pe baadban aa gaya
nigah aur raste ke dukh to raushni se the
charagh bujh gae to mera mehman aa gaya
teri sada pe mujh ko lauTna tha jang chhoD kar
magar wo ek tir jo sar-e-kaman aa gaya
main baam-o-dar se puchh aaun koi aaya to nahin
'salim' raat Dhal gai mera makan aa gaya
Ghazal
Safar ki ibtida hui ki tera dhyan aa gaya
Saleem Kausar