sab KHayal us ke liye hain sab sawal us ke liye
rakh diya hum ne hisab-e-mah-o-sal us ke liye
us ki KHushbu ke taaqub mein nikla aaya chaman
jhuk gai su-e-zamin lamhe ki Dal us ke liye
sarw ta KHak-e-giyah apni wafa ka silsila
sar-kashida us ki KHatir paemal us ke liye
kya makan-KHurda KHalaiq mein chale us ka KHayal
tang-ha-e-shahr kuchh rasta nikal us ke liye
shaKH-e-tanhai se phir nikli bahaar-e-fasl-e-zat
apni surat par hue hum phir bahaal us ke liye
wasl ke badle mein kya dagh-e-sitara mangna
is shab-e-be-KHanaman se kar sawal us ke liye
Ghazal
Sab KHayal uske liye hain sab sawal uske liye
Akhtar Husain Jafri