اردو हिंदी
Saya-e-zulf nahin shola-e-ruKHsar nahin | Shaahi Shayari
saya-e-zulf nahin shola-e-ruKHsar nahin

Ghazal

Saya-e-zulf nahin shola-e-ruKHsar nahin

Kamil Bahzadi

;

saya-e-zulf nahin shola-e-ruKHsar nahin
kya tere shahr mein sarmaya-e-didar nahin

waqt paD jae to jaan se bhi guzar jaenge
hum diwane hain mohabbat ke adakar nahin

kya tere shahr ke insan hain patthar ki tarah
koi naghma koi payal koi jhankar nahin

kis liye apni KHataon pe rahen sharminda
hum KHuda ke hain zamane ke gunahgar nahin

surKH-ru ho ke nikalna to bahut mushkil hai
dast-e-qatil mein yahan saz hai talwar nahin

mol kya zaKHm-e-dil-o-jaan ka milega 'kaamil'
shaKH-e-gul ka bhi yahan koi KHaridar nahin