اردو हिंदी
Roz ye KHwab Daraata hain mujhe | Shaahi Shayari
roz ye KHwab Daraata hain mujhe

Ghazal

Roz ye KHwab Daraata hain mujhe

Vikas Sharma Raaz

;

roz ye KHwab Daraata hai mujhe
koi saya liye jata hai mujhe

ye sada kash usi ne di ho
is tarah wo hi bulata hai mujhe

main khincha jata hun sahra ki taraf
yun to dariya bhi bulata hai mujhe

dekhna chahta hun gum ho kar
kya koi DhunD ke lata hai mujhe

ishq binai baDha deta hai
jaane kya kya nazar aata hai mujhe