اردو हिंदी
Rahzanon ke hath sara intizam aaya to kya | Shaahi Shayari
rahzanon ke hath sara intizam aaya to kya

Ghazal

Rahzanon ke hath sara intizam aaya to kya

Aatif Waheed u0027Yasiru0027

;

rahzanon ke hath sara intizam aaya to kya
phir wafa ke mujrmon mein mera nam aaya to kya

mere qatil tujh ko aaKHir kaun samjhae ye baat
par-shikasta ho ke koi zer-e-dam aaya to kya

phir wo bulwaya gaya hai karbala-e-asr mein
kufiyon ko phir se shauq-e-ehtimam aaya to kya

kho chuki sari basirat so chuke ahl-e-kitab
aasmanon se koi taza payam aaya to kya

jab ki un aankhon ki mashal baam par raushan nahin
shahr mein yasir koi mah-e-tamam aaya to kya