raftagan ka bhi KHayal ai ahl-e-alam kijiye
aalam-e-arwah se sohbat koi dam kijiye
haalat-e-gham ko na bhula chahiye shadi mein bhi
KHanda-e-gul dekh kar yaad ashk-e-shabnam kijiye
aib-e-ulfat roz-e-awwal se meri tinat mein hai
dagh-e-lala ke liye kya fikr-e-marham kijiye
apni rahat ke liye kis ko gawara hai ye ranj
ghar bana kar gardan-e-mehrab ko KHam kijiye
ishq kahta hai mujhe ram us but-e-wahshi ko kar
husn ki ghairat use samjhati hai ram kijiye
raat sohbat gul se din ko ham-baghal KHurshid se
rashk agar kije to rashk-e-baKHt-e-shabnam kijiye
dida-o-dil ko dikhaya chahiye didar-e-yar
husn ke aalam se aainon ko mahram kijiye
shakl-e-gul hans hans ke roz-e-wasl kaTe hain bahut
hijr ki shab subh ro kar misl-e-shabnam kijiye
thi saza apni jo shadi-marg qismat ne kiya
hijr mein kis ne kaha tha wasl ka gham kijiye
aap ki nazuk kamar par bojh paDta hai bahut
baDh chale hain had se gesu kuchh inhen kam kijiye
uTh gai hain samne se kaisi kaisi suraten
roiye kis ke liye kis kis ka matam kijiye
roz mardum shab kiye deta hai surma pochhiye
KHun hote hain bahut shauq-e-hina kam kijiye
aaine ko ru-ba-ru aane na dije yar ke
shana se 'atish' mizaj-e-zulf barham kijiye
Ghazal
Raftagan ka bhi KHayal ai ahl-e-alam kijiye
Haidar Ali Aatish