اردو हिंदी
Rabt asiron ko abhi us gul-e-tar se kam hai | Shaahi Shayari
rabt asiron ko abhi us gul-e-tar se kam hai

Ghazal

Rabt asiron ko abhi us gul-e-tar se kam hai

Idris Babar

;

rabt asiron ko abhi us gul-e-tar se kam hai
ek raKHna sa hai diwar mein dar se kam hai

harf ki lau main udhar aur baDha deta hun
aap batlaen to ye KHwab jidhar se kam hai

hath duniya ka bhi hai dil ki KHarabi mein bahut
phir bhi ai dost teri ek nazar se kam hai

soch lo main bhi hua chup to giran guzrega
ye andhera jo mere shor o sharar se kam hai

wo bujha jae to ye dil ko jala de phir se
sham hi kaun si rahat mein sahar se kam hai

KHak itni na uDaen to hamein bhi 'babar'
dasht achchha hai ki virani mein ghar se kam hai