اردو हिंदी
Pukarne ka qarina main sochta hi raha | Shaahi Shayari
pukarne ka qarina main sochta hi raha

Ghazal

Pukarne ka qarina main sochta hi raha

Mirza Mahmood Sarhadi

;

pukarne ka qarina main sochta hi raha
hasin kahun ki hasina main sochta hi raha

nami si thi dam-e-ruKHsat kuchh un ke aanchal par
wo ashk the ki pasina main sochta hi raha

tere karam ki koi had nahin hisab nahin
chaba ke nan-e-shabina main sochta hi raha

udhar wo pahli ko aae the ek pal ke liye
udhar tamam mahina main sochta hi raha