اردو हिंदी
Phir bhig chalin aankhen chalne lagi purwai | Shaahi Shayari
phir bhig chalin aankhen chalne lagi purwai

Ghazal

Phir bhig chalin aankhen chalne lagi purwai

Ram Krishn Muztar

;

phir bhig chalin aankhen chalne lagi purwai
har zaKHm hua taza har choT ubhar aai

phir yaad koi aaya phir ashk umaD aae
phir ishq ne sine mein ek aag si bhaDkai

barbaad-e-mohabbat ka aalam hi ajab dekha
sau bar lahu roya sau bar hansi aai

rahta hai KHayalon mein phirta hai nigahon mein
ek shahid-e-rangin ka wo aalam-e-ranai

kis rang se gulshan mein wo jaan-e-bahaar aaya
aanchal ki hawa aai zulfon ki ghaTa chhai

phir sehn-e-gulistan mein ek mauj hui raqsan
phir meri nigahon mein zanjir si lahrai

ai husn tere dar ki azmat hai nigahon mein
kab ishq ko aate the aadab-e-jabin-sai

kya kya dil-e-muztar ke arman machalte hain
taswir-e-qayamat hai zalim teri angDai

ek ruh-e-tarannum ne ek jaan-e-taghazzul ne
phir aaj nai dhun mein 'muztar' ki ghazal gai