اردو हिंदी
Phaile hue hain shahr mein sae niDhaal se | Shaahi Shayari
phaile hue hain shahr mein sae niDhaal se

Ghazal

Phaile hue hain shahr mein sae niDhaal se

Adil Mansuri

;

phaile hue hain shahr mein sae niDhaal se
jaen kahan nikal ke KHayalon ke jal se

mashriq se mera rasta maghrib ki samt tha
us ka safar junub ki jaanib shumal se

kaisa bhi talKH zikr ho kaisi bhi tursh baat
un ki samajh mein aaegi gul ki misal se

chup-chap baiThe rahte hain kuchh bolte nahin
bachche bigaD gae hain bahut dekh-bhaal se

rangon ko bahte dekhiye kamre ke farsh par
kirnon ke war rokiye shishe ki Dhaal se

aankhon mein aansuon ka kahin nam tak nahin
ab jute saf kijiye un ke rumal se

chehra bujha bujha sa pareshan zulf zulf
allah dushmanon ko bachae wabaal se

phir paniyon mein nuqrai sae utar gae
phir raat jagmaga uThi chandi ke thaal se