اردو हिंदी
Nai subh chahte hain nai sham chahte hain | Shaahi Shayari
nai subh chahte hain nai sham chahte hain

Ghazal

Nai subh chahte hain nai sham chahte hain

Abul Mujahid Zahid

;

nai subh chahte hain nai sham chahte hain
jo ye roz o shab badal de wo nizam chahte hain

wahi shah chahte hain jo ghulam chahte hain
koi chahta hi kab hai jo awam chahte hain

isi baat par hain barham ye sitamgaran-e-alam
ki jo chhin gaya hai hum se wo maqam chahte hain

kise harf-e-haq sunaun ki yahan to us ko sunna
na KHawas chahte hain na awam chahte hain

ye nahin ki tu ne bheja hi nahin payam koi
magar ek wahi na aaya jo payam chahte hain

teri rah dekhti hain meri tishna-kaam aankhen
tere jalwe mere ghar ke dar-o-baam chahte hain

wo kitab-e-zindagi hi na hui murattab ab tak
ki hum intisab jis ka tere nam chahte hain

na murad hogi puri kabhi un shikariyon ki
mujhe dekhna jo 'zahid' tah-e-dam chahte hain