na koi nam o nasab hai na goshwara mera
bas apni aab-o-hawa hi pe hai guzara mera
meri zamin pe tere aaftab raushan hain
tere falak pe chamakta hai ek sitara mera
jo chahta hai wo tasKHir kar le duniya ko
kisi bhi shai pe nahin hai yahan ijara mera
main ham-kanar hua ek lahar se aur phir
kinare hi mein kahin gum hua kinara mera
bas ek lamha-e-benam ki giraft mein hain
na jaane kaisa talluq hai ye tumhaara mera
to phir jo nafa hai main us mein kyun nahin shamil
agar yahan ka KHasara hai sab KHasara mera
jo dhyan tak nahin deta hai meri baaton par
samajh raha hai wahi shaKHs to ishaara mera
kahin KHushi ki numaish mein rakh diya ja kar
kal us ne basta-e-gham taq se utara mera
wahi hai til wahi ruKHsar hain wahi tu hai
magar nahin hai samarqand aur buKHara mera
main baad o baran se aatish kashid karta hun
ki aab o KHak ki tamsil hai idara mera
ab aa gaya hun to socha sada lagata chalun
kise KHabar yahan aana na ho dobara mera
darun-e-KHana koi bhi nahin kisi ka 'salim'
pe dekhne mein to lagta hai shahr sara mera
Ghazal
Na koi nam o nasab hai na goshwara mera
Saleem Kausar