اردو हिंदी
Mujhko ye fikr kab hai ki saya kahan gaya | Shaahi Shayari
mujhko ye fikr kab hai ki saya kahan gaya

Ghazal

Mujhko ye fikr kab hai ki saya kahan gaya

Faisal Ajmi

;

mujh ko ye fikr kab hai ki saya kahan gaya
suraj ko ro raha hun KHudaya kahan gaya

phir aaine mein KHun dikhai diya mujhe
aankhon mein aa gaya to chhupaya kahan gaya

aawaz de raha tha koi mujh ko KHwab mein
lekin KHabar nahin ki bulaya kahan gaya

kitne charagh ghar mein jalae gae na puchh
ghar aap jal gaya hai jalaya kahan gaya

ye bhi KHabar nahin hai ki hamrah kaun hai
puchha kahan gaya hai bataya kahan gaya

wo bhi badal gaya hai mujhe chhoDne ke baad
mujh se bhi apne aap mein aaya kahan gaya

tujh ko ganwa diya hai magar apne aap ko
barbaad kar diya hai ganwaya kahan gaya