اردو हिंदी
Mujhko prem kahani kar do | Shaahi Shayari
mujhko prem kahani kar do

Ghazal

Mujhko prem kahani kar do

Ajeet Singh Hasrat

;

mujh ko prem kahani kar do
mera si diwani kar do

murli ki ek tan suna kar
radha ko mastani kar do

aaj to jaane ki zid chhoDo
aaj to sham suhani kar do

hijr ka din kyun chaDhne pae
wasl ki shab tulani kar do

baqi raat bhi jagte guzre
lambi ram kahani kar do

amrit ras ka meinh barsa kar
sare manzar dhani kar do

pyasi dharti ye kahti hai
khet hain sukhe pani kar do

aisa rang lagao 'hasrat'
duniya se begani kar do