اردو हिंदी
Mohabbat mein shikayat kar raha hun | Shaahi Shayari
mohabbat mein shikayat kar raha hun

Ghazal

Mohabbat mein shikayat kar raha hun

Tripurari

;

mohabbat mein shikayat kar raha hun
shikayat mein mohabbat kar raha hun

suna hai aadaten marti nahin hain
so KHud ko ek aadat kar raha hun

wo yun bhi KHubsurat hai magar main
use aur KHubsurat kar raha hun

kise malum kab aae qayamat
so har din ek qayamat kar raha hun

udasi se bhari aankhen hain us ki
main sadiyon se ziyarat kar raha hun

zarurat hi nahin meri kisi ko
so KHud ko apni chahat kar raha hun