اردو हिंदी
Mohabbat ka teri banda har ek ko ai sanam paya | Shaahi Shayari
mohabbat ka teri banda har ek ko ai sanam paya

Ghazal

Mohabbat ka teri banda har ek ko ai sanam paya

Haidar Ali Aatish

;

mohabbat ka teri banda har ek ko ai sanam paya
barabar gardan-e-shah-o-gada donon ko KHam paya

ba-rang-e-shama jis nai dil jalaya teri duri main
to us nai manzil-e-maqsud ko zer-e-qadam paya

baja karte hain aashiq taq-e-abru ki parastari
yahi mehrab-e-dair-o-kaba mein bhi hum ne KHam paya

nishana tir-e-tohmat ka hai mera aKHtar-e-tale
uThaun dagh main to aasman samjhe diram paya

hazaron hasraten jawengi mere sath duniya se
sharar-o-barq se bhi arsa-e-hasti ko kam paya

siwae ranj kuchh hasil nahin hai is KHarabe main
ghanimat jaan jo aaram tu ne koi dam paya

nazar aaya tamasha-e-jahan jab band kin aankhen
safa-e-qalb se pahlu mein hum ne jam-e-jam paya

jalaya aur mara husn ki nairang-sazi ne
kabhi barq-e-ghazab us ko kabhi abr-e-karam paya

firaq-anjam kaam aaghaz-e-waslat ka bila shak hai
bahut roya main ruh-o-tan ko jab mushtaq hum paya

har ek jauhar mein us ka naqsh-e-pa-e-raftagan samjha
dam-e-shamshir-e-qatil jada-e-rah-e-adam paya

hamara kaba-e-maqsud tera taq-e-abru hai
teri chashm-e-siyah ko hum ne aahu-e-haram paya

hua hargiz na KHatt-e-shauq ka saman durust 'atish'
siyahi ho gai nayab agar hum ne qalam paya