اردو हिंदी
Meri zamin pe lagi aap ke nagar mein lagi | Shaahi Shayari
meri zamin pe lagi aap ke nagar mein lagi

Ghazal

Meri zamin pe lagi aap ke nagar mein lagi

Fatima Hasan

;

meri zamin pe lagi aap ke nagar mein lagi
lagi hai aag jahan bhi kisi ke ghar mein lagi

ajib raqs ki wahshat ki tal hai jis mein
ajib tal jo aaseb ke asar mein lagi

kiwaD band kahan muntazir the aahaT ke
lagi jo der to dahliz tak safar mein lagi

tamam KHwab the wabasta us ke hone se
so meri aankh bhi bas saya-e-shajar mein lagi

hisar-e-zat nahin tha tilism-e-ishq tha wo
KHabar hui to magar der is KHabar mein lagi

dahakte rang the jo aasman chhute the
khile the phul ki ek aag si shajar mein lagi

adhure lafz the aawaz ghair-wazeh thi
dua ko phir bhi nahin der kuchh asar mein lagi

palaT ke dekha to bas hijraten thin daman mein
agarche umr yahan ek guzar-basar mein lagi

parind lauT kar aae the kin zaminon se
kahan ki dhul thi jo un ke baal-o-par mein lagi