اردو हिंदी
Mere mazar pe aa kar diye jalaega | Shaahi Shayari
mere mazar pe aa kar diye jalaega

Ghazal

Mere mazar pe aa kar diye jalaega

Anjum Khayali

;

mere mazar pe aa kar diye jalaega
wo mere baad meri zindagi mein aaega

yahan ki baat alag hai jahan-e-digar se
main kaise aaunga mujh ko agar bulaega

mujhe hansi bhi mere haal par nahin aati
wo KHud bhi roega auron ko bhi rulaega

bichhaD ke is ko gae aaj tisra din hai
agar wo aaj na aaya to phir na aaega

faqih-e-shahr ke bare meri rae thi
gunahgar hai patthar nahin uThaega

isi tarah dar-o-diwar tang hote rahe
to koi apne liye ghar nahin banega

hamare baad ye dar-o-rasan nahin honge
hamare baad koi sar nahin uThaega