اردو हिंदी
Mere badan mein chhupi aag ko hawa dega | Shaahi Shayari
mere badan mein chhupi aag ko hawa dega

Ghazal

Mere badan mein chhupi aag ko hawa dega

Bashir Farooqi

;

mere badan mein chhupi aag ko hawa dega
wo jism phul hai lekin mujhe jala dega

tumhaare mehrban hathon ko mere shane se
mujhe guman bhi na tha waqt yun haTa dega

hai aur kaun mere ghar mein ye sawal na kar
mera jawab tera rang-e-ruKH uDa dega

chale bhi aao ki ye Dubta hua suraj
charagh jalne se pahle mujhe bujha dega

khaDe hue hain yahan to buland-himmat log
thake huon ko bhala kaun rasta dega

daron ko band karo warna aandhiyon ka ye zor
tumhaare kachche gharon ki chhaten uDa dega

jahan sab apne hi daman ko dekhte hon 'bashir'
us anjuman mein bhala kaun kis ko kya dega