اردو हिंदी
Maut ka waqt guzar jaega | Shaahi Shayari
maut ka waqt guzar jaega

Ghazal

Maut ka waqt guzar jaega

Farhat Abbas Shah

;

maut ka waqt guzar jaega
ye bhi sailab utar jaega

aa gaya hai jo kisi sukh ka KHayal
mujh ko chhuega to mar jaega

kya KHabar thi mera KHamosh makan
apni aawaz se Dar jaega

aa gaya hai jo dukhon ka mausam
kuchh na kuchh to kahin dhar jaega

jhuT bolega to kya hai is mein
koi wada bhi to kar jaega

us ke bare mein bahut sochta hun
mujh se bichhDa to kidhar jaega

chal nikalne se bahut Darta hun
kaun phir lauT ke ghar jaega