اردو हिंदी
Main kho gaya hun kahan aashiyan banate hue | Shaahi Shayari
main kho gaya hun kahan aashiyan banate hue

Ghazal

Main kho gaya hun kahan aashiyan banate hue

Ahmad Lateef

;

main kho gaya hun kahan aashiyan banate hue
zamin bhul gaya aasman banate hue

sitara-war chamakta har ek zarra mera
bikhar na jae kahin kahkashan banate hue

tumhaare nam pe main jal-bujha to ilm hua
ki sud banta hai kaise ziyan banate hue

mahaz par hi raha hun lahu ke bujhne tak
qalam hue mere bazu kaman banate hue

qadam kuchh aisa uTha aaKHiri qadam ki 'latif'
main do jahan se gaya ek jahan banate hue