اردو हिंदी
LuTte hain bahut sahl ki din aise kaDe hain | Shaahi Shayari
luTte hain bahut sahl ki din aise kaDe hain

Ghazal

LuTte hain bahut sahl ki din aise kaDe hain

Jaleel u0027Aaliu0027

;

luTte hain bahut sahl ki din aise kaDe hain
ghar mein nahin jaise kahin jangal mein paDe hain

sar sanjh ke kab hain faqat ek shor-e-ana hai
chahat ke qabile nahin KHwahish ke dhaDe hain

kis rang se tum sang zamane ke chale ho
har nang mein nashshe tumhein kuchh aur chaDhe hain

din raat hain be-mahr hawaon ke hawale
patton ki tarah jaise daraKHton se jhaDe hain

duniya to hai duniya ki wo dushman hai sada ki
sau bar tere ishq mein hum KHud se laDe hain

yalghaar karun kya mere pindar ke parcham
raste mein pahaDon ki tarah aan khaDe hain

itne bhi tahi-dast talluq nahin 'ali'
is shahr mein kuchh apne bhi mashrab ke thaDe hain