اردو हिंदी
Kuchh mohtasibon ki KHalwat mein kuchh waiz ke ghar jati hai | Shaahi Shayari
kuchh mohtasibon ki KHalwat mein kuchh waiz ke ghar jati hai

Ghazal

Kuchh mohtasibon ki KHalwat mein kuchh waiz ke ghar jati hai

Faiz Ahmad Faiz

;

kuchh mohtasibon ki KHalwat mein kuchh waiz ke ghar jati hai
hum baada-kashon ke hisse ki ab jam mein kam-tar jati hai

yun arz-o-talab se kam ai dil patthar dil pani hote hain
tum lakh raza ki KHu Dalo kab KHu-e-sitamgar jati hai

bedad-garon ki basti hai yan dad kahan KHairaat kahan
sar phoDti phirti hai nadan fariyaad jo dar dar jati hai

han jaan ke ziyan ki hum ko bhi tashwish hai lekin kya kije
har rah jo udhar ko jati hai maqtal se guzar kar jati hai

ab kucha-e-dil-bar ka rah-rau rahzan bhi bane to baat bane
pahre se adu Talte hi nahin aur raat barabar jati hai

hum ahl-e-qafas tanha bhi nahin har roz nasim-e-subh-e-watan
yaadon se moattar aati hai ashkon se munawwar jati hai