اردو हिंदी
Kuchh mohabbat mein ajab shewa-e-dil-dar raha | Shaahi Shayari
kuchh mohabbat mein ajab shewa-e-dil-dar raha

Ghazal

Kuchh mohabbat mein ajab shewa-e-dil-dar raha

Hijr Nazim Ali Khan

;

kuchh mohabbat mein ajab shewa-e-dil-dar raha
mujh se inkar raha ghair se iqrar raha

kuchh sarokar nahin jaan rahe ya na rahe
na raha un se to phir kis se sarokar raha

shab-e-KHalwat wahi hujjat wahi takrar rahi
wahi qissa wahi ghussa wahi inkar raha

talib-e-did ko zalim ne ye likkha KHat mein
ab qayamat pe mera wada-e-didar raha

haal-e-dil bazm mein us shoKH se hum kah na sake
lab-e-KHamosh ki surat lab-e-izhaar raha

kuchh KHabar hai tujhe o chain se sone wale
raat bhar kaun teri yaad mein bedar raha

ek nazar naza mein dekhi thi kisi ki surat
muddaton qabr mein bechain dil-e-zar raha

dil hamara tha hamara tha hamara lekin
un ke qabu mein raha un ka taraf-dar raha

umr hans-khel ke is tarah guzari ai 'hijr'
dost ka dost raha yar ka main yar raha