اردو हिंदी
Kuchh hai jo ye guman na hota to Thik tha | Shaahi Shayari
kuchh hai jo ye guman na hota to Thik tha

Ghazal

Kuchh hai jo ye guman na hota to Thik tha

Amjad Shahzad

;

kuchh hai jo ye guman na hota to Thik tha
sar par ye aasman na hota to Thik tha

achchha tha gar zamin na hoti jahan mein
ya phir koi jahan na hota to Thik tha

insan mehman hai do-chaar roz ka
us par ye imtihan na hota to Thik tha

apni talash mein to na phirta idhar-udhar
itna baDa makan na hota to Thik tha

tujh se mera muamla hota ba-rah-e-rast
ye ishq darmiyan na hota to Thik tha

kaisa ajib hai ki main hun bhi nahin bhi hun
mera kahin nishan na hota to Thik tha