اردو हिंदी
Kuchh din se zindagi mujhe pahchanti nahin | Shaahi Shayari
kuchh din se zindagi mujhe pahchanti nahin

Ghazal

Kuchh din se zindagi mujhe pahchanti nahin

Anjum Rehbar

;

kuchh din se zindagi mujhe pahchanti nahin
yun dekhti hai jaise mujhe jaanti nahin

wo be-wafa jo rah mein Takra gaya kahin
kah dungi main bhi saf ki pahchanti nahin

samjhaya bar-ha ki bacho pyar-wyar se
lekin koi saheli kaha manti nahin

main ne tujhe muaf kiya ja kahin bhi ja
main buz-dilon pe apni kaman tanti nahin

'anjum' pe hans raha hai to hansta rahe jahan
main be-waqufiyon ka bura manti nahin