اردو हिंदी
Koi uske barabar ho gaya hai | Shaahi Shayari
koi uske barabar ho gaya hai

Ghazal

Koi uske barabar ho gaya hai

Vikas Sharma Raaz

;

koi us ke barabar ho gaya hai
ye sunte hi wo patthar ho gaya hai

judai ka hamein imkan to tha
magar ab din muqarrar ho gaya hai

sabhi hairat se mujh ko tak rahe hain
ye kiya tahrir mujh par ho gaya hai

asar hai ye hamari dastakon ka
jahan diwar thi dar ho gaya hai

jise dekho ghazal pahne hue hai
bahut sasta ye zewar wo gaya hai