اردو हिंदी
Kitni be-saKHta KHata hun main | Shaahi Shayari
kitni be-saKHta KHata hun main

Ghazal

Kitni be-saKHta KHata hun main

Abdul Hamid Adam

;

kitni be-saKHta KHata hun main
aap ki raghbat-o-raza hun main

main ne jab saz chheDna chaha
KHamushi chiKH uThi sada hun main

hashr ki subh tak to jagunga
raat ka aaKHiri diya hun main

aap ne mujh ko KHub pahchana
waqai saKHt bewafa hun main

main ne samjha tha main mohabbat hun
main ne samjha tha muddaa hun main

kash mujh ko koi batae 'adam'
kis pari-wash ki bad-dua hun main