اردو हिंदी
Kisi pe karna nahin etibar meri tarah | Shaahi Shayari
kisi pe karna nahin etibar meri tarah

Ghazal

Kisi pe karna nahin etibar meri tarah

Fareed Parbati

;

kisi pe karna nahin e'tibar meri tarah
luTa ke baiThoge sabr o qarar meri tarah

abhi to hoti hain sargoshiyan pas-e-diwar
abhi na karna sitare shumar meri tarah

bagula ban ke uDa KHwahishon ke sahra mein
Thahar gaya to faqat tha ghubar meri tarah

unhin ke sayon mein ab sar jhuka ke chalta hai
uga gaya tha jo sarw o KHayar meri tarah