اردو हिंदी
Kise KHabar thi ki KHud ko wo yun chhupaega | Shaahi Shayari
kise KHabar thi ki KHud ko wo yun chhupaega

Ghazal

Kise KHabar thi ki KHud ko wo yun chhupaega

Abid Khursheed

;

kise KHabar thi ki KHud ko wo yun chhupaega
aur apne naqsh ko lahron pe chhoD jaega

KHamosh rahne ki aadat bhi mar deti hai
tumhein ye zahr to andar se chaT jaega

kuchh aur der Thahar jao KHwab-zaron mein
wo aks hi sahi lekin nazar to aaega

bacha sako to bacha lo ye aasman ye zamin
zara si der mein ye ashk phail jaega

ye apne dhyan mein rakhna ki main na aaya to
tulu-e-subh ki KHatir kise bulaega

bahut hua to yahi hoga ai mere 'KHurshid'
wo shaKHs ja ke kabhi lauT kar na aaega