اردو हिंदी
Kise batate ki manzar nigah mein kya tha | Shaahi Shayari
kise batate ki manzar nigah mein kya tha

Ghazal

Kise batate ki manzar nigah mein kya tha

Aashufta Changezi

;

kise batate ki manzar nigah mein kya tha
har ek rang mein apna hi bas tamasha tha

hum aaj tak to koi imtiyaz kar na sake
yahan to jo bhi mila hai wo tere jaisa tha

ajib KHwab tha tabir kya hui us ki
ki ek dariya hawaon ke ruKH pe bahta tha

na koi zulm na halchal na masala koi
abhi ki baat hai main hadse ugata tha

har ek shaKHs ne apne se munsalik samjhi
koi kahani kisi ki kisi se kahta tha

hamara nam tha aashufta-haal logon mein
KHizan-pasand tabiat ka apni charcha tha