اردو हिंदी
Ki jaise koi musafir watan mein lauT aae | Shaahi Shayari
ki jaise koi musafir watan mein lauT aae

Ghazal

Ki jaise koi musafir watan mein lauT aae

Ameer Imam

;

ki jaise koi musafir watan mein lauT aae
hui jo sham to phir se thakan mein lauT aae

na aabshaar na sahra laga sake qimat
hum apni pyas ko le kar dahan mein lauT aae

safar tawil bahut tha kisi ki aankhon tak
to us ke baad hum apne badan mein lauT aae

kabhi gae the hawaon ka samna karne
sabhi charagh usi anjuman mein lauT aae

kisi tarah to fazaon ki KHamushi TuTe
to phir se shor-e-salasil chalan mein lauT aae

'amir' imam batao ye majra kya hai
tumhaare sher usi bankpan mein lauT aae