اردو हिंदी
Khule jo aankh kabhi didani ye manzar hain | Shaahi Shayari
khule jo aankh kabhi didani ye manzar hain

Ghazal

Khule jo aankh kabhi didani ye manzar hain

Shahryar

;

khule jo aankh kabhi didani ye manzar hain
samundaron ke kinaron pe ret ke ghar hain

na koi khiDki na darwaza wapsi ke liye
makan-e-KHwab mein jaane ke saikDon dar hain

gulab Tahni se TuTa zamin par na gira
karishme tez hawa ke samajh se bahar hain

koi baDa hai na chhoTa sarab sab ka hai
sabhi hain pyas ke mare sabhi barabar hain

husain-ibn-e-ali karbala ko jate hain
magar ye log abhi tak gharon ke andar hain