kahan sawab kahan kya azab hota hai
mohabbaton mein kab itna hisab hota hai
bichhaD ke mujh se tum apni kashish na kho dena
udas rahne se chehra KHarab hota hai
use pata hi nahin hai ki pyar ki bazi
jo haar jae wahi kaamyab hota hai
jab us ke pas ganwane ko kuchh nahin hota
to koi aaj ka izzat-maab hota hai
jise main likhta hun aise ki KHud hi paDh panw
kitab-e-zist mein aisa bhi bab hota hai
bahut bharosa na kar lena apni aankhon par
dikhai deta hai jo kuchh wo KHwab hota hai
Ghazal
Kahan sawab kahan kya azab hota hai
Waseem Barelvi