اردو हिंदी
Kabhi kabhi koi chehra ye kaam karta hai | Shaahi Shayari
kabhi kabhi koi chehra ye kaam karta hai

Ghazal

Kabhi kabhi koi chehra ye kaam karta hai

Zafar Sahbai

;

kabhi kabhi koi chehra ye kaam karta hai
mere badan mein lahu tez-gam karta hai

har ek lafz ko mah-e-tamam karta hai
meri zaban se jab wo kalam karta hai

kai dinon ke safar se main jab palaTta hun
wo apne pure badan se kalam karta hai

bahut aziz hain us ko bhi chhuTTiyan meri
wo roz koi naya ehtimam karta hai

shikayaton ki ada bhi baDi nirali hai
wo jab bhi milta hai jhuk kar salam karta hai

main mushtahar hun sitamgar ki mehrbani se
wo apne sare sitam mere nam karta hai

kisi ke hath mein KHanjar kisi ke hath mein phul
qalam hai ek magar kitne kaam karta hai

jab us se milta hun daftar ko bhul jata hun
'zafar' wo baaton hi baaton mein sham karta hai