kasa-leson ne jo thi nazr utari teri
wahi le Dubi tujhe hasht-hazari teri
puchha jaega daur-e-humayuni ka
ru-ba-kar aaj hai sarkar se jari teri
us ka didar hama-waqt ibaadat meri
aankh ne dil pe jo taswir utari teri
hum ne har samt bichha rakkhi hain aankhen apni
jaane kis samt se aa jae sawari teri
tark-e-ulfat ka irada hai musammam us ka
kaam aai hi nahin minnat-o-zari teri
zarb-e-paiham ka tasalsul na abhi toD 'sadid'
ek nai zarb bhi ho sakti hai kari teri
Ghazal
Kasa-leson ne jo thi nazr utari teri
Anwar Sadeed