اردو हिंदी
Kabe se mujhko lae sawad-e-kunisht mein | Shaahi Shayari
kabe se mujhko lae sawad-e-kunisht mein

Ghazal

Kabe se mujhko lae sawad-e-kunisht mein

Muneer Shikohabadi

;

kabe se mujh ko lae sawad-e-kunisht mein
islah di buton ne KHat-e-sar-nawisht mein

phirte hain kucha-e-but-e-qudsi-sarisht mein
diwane laten mar rahe bahisht mein

kaffara-e-sharab main deta hun naqd-e-hosh
sargarm hun talafi-e-amal-e-zisht mein

aksar jaza-e-sajda mein khani hain Thokaren
likkha hai kya KHat-e-kaf-e-pa sarnawisht mein

huron se garmiyan jo kahun us sharir ki
lag jae aag aatish-e-gul se bahisht mein

sunti hai roz naghma-e-zanjir-e-ashiqan
wo zulf bhi hai silsila-e-ahl-e-chisht mein

zindan se aankhen senkne us gul ke ghar gae
dozaKH se aag lene chale hum bahisht mein

begane ek hamin nazar aae pas-e-fana
bedardon ka hujum hai bagh-e-bahisht mein

but-KHane mein safedi-e-husn-e-farang hai
girje ki raushni hai sawad-e-kunisht mein

jal jal ke KHak hote hain be-ashk-o-ah hum
aab-o-hawa nahin hai hamari sarisht mein

garmi mein tere kucha-nashinon ke waste
pankhe hain qudsiyon ke paron ke bahisht mein

sona kasaun ashrafi-e-dagh-e-sajda ka
sang-e-mahak lagaun bina-e-kunisht mein

bijli chamak gai jo hansi mein phaDak gae
shoKHi bhari hui hai tumhaari sarisht mein

taswiren teri dast-e-hinai ki le gae
chhape lahu ke hum ne lagae bahisht mein

karti hain KHun charKH buton ki talliyan
rang-e-shafaq lagati hai saqf-e-kunisht mein

abr-e-bahaar jauhar-e-shamshir-e-yar the
gulha-e-zaKHm khil gae urdi-bahisht mein

taqdir mein hai teri dahan-o-kamar ka ishq
sirr-e-nihan likha hai meri sarnawisht mein

di jaan ek hur ke bose ki chaT par
qismat ne mujh ko zahr diya hai bahisht mein

choron se guftugu-e-KHat-e-sabz-e-yar hai
tuti kisi ka bol raha hai bahisht mein

adna ghulam-e-shah-e-wilayat hue 'munir'
dasht-e-najaf ki KHak hai meri sarisht mein