اردو हिंदी
Juz guman aur tha hi kya mera | Shaahi Shayari
juz guman aur tha hi kya mera

Ghazal

Juz guman aur tha hi kya mera

Jaun Eliya

;

juz guman aur tha hi kya mera
faqat ek mera nam tha mera

nikhat-e-pairahan se us gul ki
silsila be-saba raha mera

mujh ko KHwahish hi DhunDne ki na thi
mujh mein khoya raha KHuda mera

thuk de KHun jaan le wo agar
aalam-e-tark-e-muddaa mera

jab tujhe meri chah thi jaanan
bas wahi waqt tha kaDa mera

koi mujh tak pahunch nahin pata
itna aasan hai pata mera

aa chuka pesh wo murawwat se
ab chalun kaam ho chuka mera

aaj main KHud se ho gaya mayus
aaj ek yar mar gaya mera