اردو हिंदी
Jo tasawwur se mawara na hua | Shaahi Shayari
jo tasawwur se mawara na hua

Ghazal

Jo tasawwur se mawara na hua

Iqbal Suhail

;

jo tasawwur se mawara na hua
wo to banda hua KHuda na hua

dil agar dard-ashna na hua
nang-e-hasti hua hua na hua

rutba-dan tha jabin-e-ishq ka main
husn ke dar pe jabha sa na hua

dil KHata-war-e-ishtiyaq sahi
lab gunahgar-e-iltija na hua

nang hai be-amal qubul-e-bahisht
ye to sadqa hua sila na hua