اردو हिंदी
Jin ke aangan mein amiri ka shajar lagta hai | Shaahi Shayari
jin ke aangan mein amiri ka shajar lagta hai

Ghazal

Jin ke aangan mein amiri ka shajar lagta hai

Anjum Rehbar

;

jin ke aangan mein amiri ka shajar lagta hai
un ka har aib zamane ko hunar lagta hai

chand tare mere qadmon mein bichhe jate hain
ye buzurgon ki duaon ka asar lagta hai

man mujhe dekh ke naraaz na ho jae kahin
sar pe aanchal nahin hota hai to Dar hota hai