اردو हिंदी
Ji tarasta hai yar ki KHatir | Shaahi Shayari
ji tarasta hai yar ki KHatir

Ghazal

Ji tarasta hai yar ki KHatir

Shaikh Zahuruddin Hatim

;

ji tarasta hai yar ki KHatir
us sin bos-o-kanar ki KHatir

tere aane se yu KHushi hai dil
jun ki bulbul bahaar ki KHatir

hum sin maston ko bas hai teri nigah
toDne kun KHumar ki KHatir

bas hai us sang-dil ka naqsh-e-qadam
meri lauh-e-mazar ki KHatir

umr guzri ki hain khuli 'hatim'
chashm-e-dil intizar ki KHatir