اردو हिंदी
Jab main uske ganw se bahar nikla tha | Shaahi Shayari
jab main uske ganw se bahar nikla tha

Ghazal

Jab main uske ganw se bahar nikla tha

Aslam Kolsarii

;

jab main us ke ganw se bahar nikla tha
har raste ne mera rasta roka tha

mujh ko yaad hai jab us ghar mein aag lagi
upar se baadal ka TukDa guzra tha

sham hui aur suraj ne ek hichki li
bas phir kya tha koson tak sannaTa tha

main ne apne sare aansu baKHsh diye
bachche ne to ek hi paisa manga tha

shahr mein aa kar paDhne wale bhul gae
kis ki man ne kitna zewar becha tha