is shahr mein kahin pe hamara makan bhi ho
bazar hai to hum pe kabhi mehrban bhi ho
jagen to aas-pas kinara dikhai de
dariya ho pur-sukun khula baadban bhi ho
ek dost aisa ho ki meri baat baat ko
sach manta ho aur zara bad-guman bhi ho
raste mein ek peD ho tanha khaDa hua
aur us ki ek shaKH pe ek aashiyan bhi ho
us se mile zamana hua lekin aaj bhi
dil se dua nikalti hai KHush ho jahan bhi ho
hum us jagah chale hain jahan ye zamin nahin
achchha ho gar wahan pe naya aasman bhi ho
Ghazal
Is shahr mein kahin pe hamara makan bhi ho
Mohammad Alvi